Art is a reflection of life and vice versa. The sci-fi, adventure, animation and thrillers are also a fabrication of the human brain, enabled by digitisation, above all by conceptualisation. It's almost impossible to remain uninspired surrounded by brilliance of visuals, rhythm and lyrics. Sharing some of my couplets penned when the camera is not rolling.
Kaise tham loon lamhon ka samandar..!
Uss lamhe ki bhi ajab dastaan thi..!
Rukne ka waada kiya ta-umar ka aur furr se jam gaya..!
Waada bhi poora kiya aur bekarari bhi Umar bhar ki de gaya..!
Ek Muddat se, kuch mulakaaton ka zikar karte rahe..!!
Kuch toh roohani hai, tumse kahin mil Jana..!
Ek pehli mulakaat woh, pareshaan kiye hai arson se..!
Kuch mulakaatein chupke se, dooriyon ki beraham gawah si ban gayi..!
Ek mulakaat toh, kisi purane waade si mujhko kosti rehti hai..!
Haan ek adhuri reh gayi, uss mulakaat ka zikar kabhi na hoga..!
Tum aaye toh kya kehna..!! Nahi toh yeh koi pehli baar ki faramoshi nahi..!!
Kuch toh roohani hai, tumse kahin mil Jana..!
Ek pehli mulakaat woh, pareshaan kiye hai arson se..!
Kuch mulakaatein chupke se, dooriyon ki beraham gawah si ban gayi..!
Ek mulakaat toh, kisi purane waade si mujhko kosti rehti hai..!
Haan ek adhuri reh gayi, uss mulakaat ka zikar kabhi na hoga..!
Tum aaye toh kya kehna..!! Nahi toh yeh koi pehli baar ki faramoshi nahi..!!
Kahan khoya hai woh..!
Yahin toh hai, kuch dhundla sa..!
Haan awaz mein thodi si sikan beete dino ki hai..!
Abhi rahon mein kuch der khud ko talashta, woh mil hi jayega..!
Mil jayega kisi ki hansi se apna gum chupate hue, kuch aise hi saude kar leta hai woh..!
Mil jayega purani kisi kitab mein, gum se kisi naam ki tarah, dhool bhari kisi kitab mein dekho...!
Mil jayega khayalon ki betarteeb bheed mein, uljhe kisi khayal ki tarah, itna uljha koi rishta ho khuda na kare...!
Mil jayega diwaron pe likhe, kuch lafzon mein kismat ki paheliyan suljhate, arson se kuch suljha hi nahi..!
Mil jayega kisi gumshuda Raah pe, apni gumshudgi ke saaye se nikalta, woh ek Jana pehchana ajnabi sa koi..!
Yahin ka khanabadosh hai woh.. yahin milega kabhi ya kahin bhi nahi, usse mat dhoondo, waise woh yahan ka hai bhi nahi..!
Inn lamhon mein khoye kayi martaba..!
Inn lamhon mein khud ko paya har dafa..!
Ek muskurahat mein kyon pighlate ho
tum..!
Sadiyon ki berukhi ke nikhre hain hum..!
Tumko kahan se mile hain haq, ke apni
mohar yuhin laga Jate ho tum..!
Ab kuch din yahan rahoge yaa, yuhin bin
bataye phir chale jaoge tum..!
Haan yaad aaya, Tumko dooriyon mein rehne
ki aadat pad gayi hai..!
Phir milenge..! Karo apni manmani..!
Aahista...phir se mera wazood simat raha
hai..!
Kuch thokaron ka sabak zindagi sa laga
hai..!
Jhootha hi sahi..!
Woh waqt bekarar jiya hai Maine..!
Ruka kahin bhi nahi Magar..!
Tera intzaar kiya hai Maine..!
Woh Mil Gaya..!
kuch lamhon mein unn darakhton ke
darmiyan..!
kuch saason mein jo khilkilate atak si
rahi thi..!
Kuch baton mein zikar bhi hua uska..!
Ek do raaton ke befikar andheron mein..!
Ek naye safar ke purane doston mein..!
shukriya dost.. kahan khoya tha yaad nahi
magar tere gaon mein... Main khud se yuhin mil gaya..!
Ek Muddat se, kuch mulakaaton ka zikar
karte rahe..!!
Kuch toh roohani hai, tumse kahin mil
Jana..!
Ek pehli mulakaat woh, pareshaan kiye hai
arson se..!
Kuch mulakaatein chupke se, dooriyon ki
beraham gawah si ban gayi..!
Ek mulakaat toh, kisi purane waade si
mujhko kosti rehti hai..!
Haan ek adhuri reh gayi, uss mulakaat ka
zikar kabhi na hoga..!
Tum aaye toh kya kehna..!! Nahi toh yeh
koi pehli baar ki faramoshi nahi..!!
Kaise tham loon lamhon ka samandar..!
Uss lamhe ki bhi ajab dastaan thi..!
Rukne ka waada kiya ta-umar ka aur furr
se jam gaya..!
Waada bhi poora kiya aur bekarari bhi
Umar bhar ki de gaya..!
Sookhi chatakti khwahison ka...bewaqt ek imtihaan
yuhin le liya..!
Bahut mushkil se Rooh ko doobne se
bachaya...!
kuch boondon ne banzar aakhon mein bojhil
sailaab sa la diya..!
Aaj door se dekh rahe hain...!
Unn door nikal Gaye palon ko..!
Phir badla hai hawaon ka rukh..!
Phir Tanhayi se mahobat karne laga
hoon..!
Phir udaan wale kuch pankh saaf kar raha
hoon..!
Phir khidkiyon mein lage kuch jaalon ko
taar taar kar raha hoon..!
Kahin meri Roshni aankh-micholi kar rahi
hai.. toh kahin kisi ka aitbaar kar raha hoon..!
Kuch pareshaan jawabon se kuch masoom,
sawal kar raha hoon..!
Kuch yadon ko aakhri baar Saza-e-kalapani
ki koshish kar raha hoon..!
Kuch nayi umeedon mein, naye tevar aaine
ke uss taraf talash kar raha hoon..!
Main udd raha hoon aajkal, akele aasmaan
mein akele akele..!!
Ek akeli khidki pe... tumne kuch sapne
rakhe toh the..!
Hawa ke jhonko se dagmagate unn sapno ko
aaj ek saal ho Gaya hai..!
Aasmaan ki behoshi ka aalam bhi alag hi
kuch hai..!
Abhi udne ki mohlat di.. aur hawa ka rukh
moad diya..!
Yeh kiski ibadaton ka asar hai... phir ek
haseen sham bahaein failaye aa rahi hai.!
Lamhon ki zindagi jeete rahe..!
Rakh na sake jinko aakhon mein..!
Unko bhi kahin chupate rahe.!
Reh gayi thi kuch Yadein yahan wahan kisi
tehkhane mein....!
Ab kuch nahi sambhal raha toh inka bhi
Kya karoon..!
Khali haton ko.. woh yuhin moad kar
baitha na raha..!
Usne bahaon ka ek dariya bana liya..!
Aati jaati lahron ka hisaab.. khali haton
ki ungliyon ke rukhe khano mein...!
Tareekhon ke gunehgaar main aur mera
saaya..!!
Ek umr hui.. kuch sapno ko... lakdi ke
baramde mein chupa Gaya tha..!
Kuch mude magar atke mile waqt ki sookhi
lehi se..!
Kuch gir Gaye shyad barishon ke shor
se..!
Kuch rang badalti deewaron pe feeke
dhabbon se Maine khud hi mita diye..!
Kuch mitti ke farsh pe bikhre the..
kuch Patthar ki chhat mein bheegte
chatkti dhoop se..!
Kuch sapno ko main wapas le aaya..!
Badi behoshi hai inko. arse ki tadap hai
inko bhi..!!
Haan... kuch naye sapno ko phir chupa
diya hai.. lakdi ke Ussi baramde mein..!!
Talaashi ke kuch ousool... yuhin toad
diye.. ! Apne hi Andar... sabse pehle jhaank liye hum..!
Kuch mila hai..
Ek tadapti si khwahish...
Mushkil hai magar... Shyad naam bata de
apne gunehgaar ka..!
Ek saans pe atke... kuch badhawas lekin
reshami khwaab..!
Yahi ek saans hai.. inki eklauti
gawahi..!
Ab tak zinda hain... yeh bekhauf khayal..
kabhi inko gar jubaan mil gayi hoti.. koi
sazaa mukarrar... apni ho gayi hoti..!
Aur ek kone pe simta sa... yeh kiska
saaya..!
Kya khabar thi...apne andar bhi yuhin...
sahma sa mujhko mil jaonga main..!
Areey Haan ek chota sa suraag aur mila
hai..
Tumhare naam likhe... khaton se bhara..
ek Lifafa..!
Aise hi jab sham bikharti hai!
Kuch sawalon ki nishane-bazi se!
Kuch khamosh jawabon Ki kashmakash!
Humko chalne.. rukne pe mazboor karti
hai..
Kisi gumnaam nigaah mein.. kisi ne rakha
hai apna Faisla...
Aur talash mein hum... doob gaye jane
kitne samandaron mein..!
Ab Hum bhi sayane ban gaye hain!
Akele rehne ka hunar!
Yuhin kaise baant le Sabse!
Dikha EK khawab... tanga sa... unn
badalon ke peeche..!!
Meri hasraton ke shahar akasar kuch
samandaron paar hi hote hain..!
Koi toh rakhta hoga.. Toote khawabon ka
hisaab..!!
Kahin toh hoti hogi.. Adhuri kahaniyon Ki
sunwayi..!
Kahin toh boliyan acchi lagti hongi...
Chup se bik jane walon Ki..!
Kahin toh hoga woh shahar... Kisi
Samandar paar..!!
Kahin EK mutthi aasman ka sauda kar
Aaye..!
Magar Yahan Apne hisse Ki zameen naa
mili..!
Aadhe Adhure Bekhauf khayalon ke
darmiyan..
Shareef mukammal kisson Ki koi aahat na
mili..!
Itne bhi hum mashroof nahi the Iss ajnabi
shahar mein..!
Kaun aaya mere ghar aur Kaun dil se chala
gaya khabar hi na mili..!
Ek sham aa jati hai koi yaad yuhin..!
Aur kisi sham hum khud ko nahi milte..!
Apne aap se milne...!
Kahan kahan Jata hai tu..!
Kuch bheed yahan...!
Kuch bheed wahan..!
Kuch logon ke darmiyan..!
Kuch saayon ki dhundlahaton mein..!
Kisi anjane Raste pe..!
Koi roz ka nukkad..!
Sab sukhe chehron ke beech..!
Akela bheega sa tu..!
Ghira sabhi ka aasman kaale badlon se..!
Tera hi peecha karte woh geele Badal..!
Aaj ki subuh yaa.. Beete Kal Ki sham..!
Tu akasar toh yahin sirhane milta hai
khudse..!
Aapne aap se Milne...
Kahan kahan jata hai tu..!
nn jhumkon ki khanak.. tere shahar ki
raunak ko dhundla si gayi..!
Hum doobe bhi rahe badhawas se magar..
koi saans aati rahi.. koi saans jati rahi..!
Doobte shahar mein kaanch ki diwaron pe..
Kuch bundon ka khoon hote dekh raha tha.!
Aakhein band ki toh andar Bhi kuch waisa
hi chal raha tha..!
Isko usko khush karne na karne ki
kashmakash mein..!
Apne kho jane ka ehsaas hua hai..!
Ab ek khamoshi ko dost banake...!
Ek Aur nayi adhuri tasveer banake...!
Kuch Rangon se lad jahgad ke...!
Rahon pe bhi jiya karenge...!
Aahista...phir se mera wazood simat raha
hai..!
Kuch thokaron ka sabak zindagi sa laga
hai..!
Yadon ki ek kitaab kahin gumshuda si mili
Kal..!
Kuch sukhe palon pe Atki Teri meri
ladaiyan..!
Kuch paniyon pe atke tere kisson ki
tehniyan...!
Kuch aasmaan mein Udte tere baton ke
parinde..!
Meri fitrat mein wahi feeke se sawal..!
Teri aadat mein shamil woh rangeen se
jawab..!
Abke bichde hain.. Jane kab milenge..
Zindagi ke hisaab koi samajhe toh humko
bhi bataye..!!
Chod aaye hum woh galiyan...!!
Magar ab tak kahin pahunche nahi..!!
Laut aana bhi safar hi toh hai..!!
Humko safar se mohabbat hamesha rahi
hai..!
Inn lamhon mein khoye kayi martaba..!
Inn lamhon mein khud ko paya har dafa..!
Jo ek Aawara sa khawab yuhin raste se
utha laye the kabhi...!!
Kambhakht ab humko usi ka sahara hai..!
Itna hi pata hai uske baare mein...
Woh saason ke shorgul mein gum hai
kahin..!
Apne aap se milne...!
Kahan kahan Jata hai tu..!
Kuch bheed yahan...!
Kuch bheed wahan..!
Kuch logon ke darmiyan..!
Kuch saayon ki dhundlahaton mein..!
Kisi anjane Raste pe..!
Koi roz ka nukkad..!
Sab sukhe chehron ke beech..!
Akela bheega sa tu..!
Ghira sabhi ka aasman kaale badlon se..!
Tera hi peecha karte woh geele Badal..!
Aaj ki subuh yaa.. Beete Kal Ki sham..!
Tu akasar toh yahin sirhane milta hai
khudse..!
Aapne aap se Milne...
Kahan kahan jata hai tu..!
Udd gaye.. lamhon ki Rait mein.. gum
hokar...!
koi Badal barse toh... niklein iss
samandar se bahar..!
Kuch kehti rehti hai... Meri maa
Mujhse..!
Tu Waqt ke saath aisa uljha..!
Benaam si Kathputli bante.. dekha hai
tujhko..!
Kabhi salon tak apni zid mein tu rehta
tha..
Ab apne lafzon mein atakte.. dekha hai
tujhko..!
Soya nahi tu beparwah sa kuch dino se..
Adhure kisse sirhane rakhte.. dekha hai
tujhko..!
Nakabon ka shahar..!!
Sapno Ki andheri surangon ka shahar..!
Doobte Suraj pe atakti umeedon ka
shahar..!
Samandar Ki awazon se khamosh hoti
cheekhon ka shahar..!
Aaj mera... kal tera hone wala yeh
shahar..!
Sab yahin mil jane waale ajnabiyon ka
shahar..!
Kya hua aaj iss shahar ko..!!
Roshni mere andar aag si lag rahi hai..!!
Bahar badalon se dhaki dhoop pani si lag
rahi hai..!
No comments:
Post a Comment